Namaskaar Dosto

Tokyo Olympics me Indian hockey teams ke Jabardasth Pradarshan ke bad Desh ki Janata Mein Ek Naya Utsaah dekh Raha hai hockey game ko lekar. dono hi men's hockey team or women's hockey team ne Kamal Ki performance Dikhai hai jo Kai maiyno etihasik thi To koi Badi Baat Nahin Hai yah ki ab Logon Ko Bhi Jyada interest a Raha hai hockey ko Dekhne Mein Aaj Ki generation ko sunkar Shayad hairani Ho lekin ek time tha Aisa India mein doston Jab Hockey India ka sabse pasandida sport hua Karta tha lekin Itihaas Mein Ek Samay Aisa Aaya Jab cricket Ne hockey ko overtake kar Liya popularity me Logo Ko cricket Jyada Pasand Aane Laga aisa kya Hua ki hockey ki popularity Kam ho gai Janata ke beech aur cricket Itna popular ban gyaKya hockey apni Popularity ko Wapas revive kar Sakta hai Indians ke beech aaiye Aaj ke is blog me in  sawalon ke jawab Janne ki koshish Karte Hain 


Indian Hockey Tokyo Olympics 2021


1. Hitler Vs Dhyan Chand

Is bar apni Kahani Ko Shuru Karte hain doston Saal 1936 se Germany Mein Adolf Hitler Ka Raj tha is bari ke Olympic game Germany ki Rajdhani berlin mein ho rahe the hockey ka final match tha India vs  Germany India ki men's hockey team Thodi nervous dikh Rahi thi Kyoki isse Pahle Ek match mein Germany Ne India ko Hara diya tha lekin India ke pas ek special player tha jise hum wizard (Jadugar) Karke pukarte the in player Ka Naam Tha Dhyanchand India Ne yah game Badi Raftaar ke sath Khela Germany ne apni Puri koshish Kari jitne ki lekin Germany sirf ek goal score kar Paya India ke  against Doosri taraf India Ne 8 goals score Kare Germany ke against  inme se 3 goals score kiye Gaye the sirf Dhyanchand ke dwara 


Ye Game Bada Hi etihasik tha DhyanChand ki performance se impress hokar Adolf Hitler Ne DhyanChand Ko German citizenship offer Kari aur ye tak Kaha ki hum Tumhen German army Mein Jagah De Denge Lekin DhyanChand un Logo me se nahi the jo kisi dictator Ke Samne ghootne taik de DhyanChand Ne Adolf Hitler ke Munh per Keh diya India is not for sale ye price distribution ceremony ke doraan tha ki ye sunkar Pura Stadium Shant ho Gaya logo ko dar tha ki Hitler ke Munh per Aisa bolna Kahin Hitler Goli Na maar de DhyanChand Ko iske reply me lekin, fortunately, Aisa Kuchh Nahin Hua Ulta Hitler impress Hi Ho Gaye DhyanChand Se Aur Bhi jyada Aur, in fact, ye jo Wizard of Hockey ka title Diya Jata Hai DhyanChand Ko ye actually Mein pahle Hitler nahin diya tha 

2. The Golden Run

Believe it not Doston ye Hamara Teesra consecutive  gold medal tha hockey Mein Olympics me aur shayad isse Bhi Jyada unbelievable chij ye hai ki Iske bad Indian hockey team ne jakar 5 aur gold medal Jeete India is Samay Mein literally world champion tha hockey ka Dhyanchand the wizard Ki Kahaniyan schoolon Mein Gai, gharon Mein Sunai Gai bacchon ko Desh Bhar me inkii Kahaniyan feli aur hum log as Indians Kafi proud the Apne hockey players ko Lekar vaise kya Jante Hain Doston hockey ka ye jo game Hai ye actually Mein Olympic Se Bhi Jyada Purana Hai 

3. History Of Hockey

Agr hum hockey  ke Itihaas Mein Jaaye to hockey Jaisa hi ek  rough game Khela Jata tha Iran, Egypt Aur Ethiopia Mein Hota kya tha ek Chhoti Si disk Thi Jise Puck Kahate Hain Hum aur dandiyon se ise idhar Udhar marker khelte the Aaj ke din Jo Ice Hockey Hoti Hai vo bhi isiTarah Se Hi kheli Jaati Hai ek disk ke sath lekin jo modern game tha field Hockey ka ye actually developed Kiya Gaya tha Britain Mein 18th century  aur Jaise British ne  cricket ko popular Banaya India mein India mein hockey ko  popular Banane ka credit bhi British ko hi, Jata Hai 


Hockey clubs Pehle foam hone shuru Huye calkuta aur Bombay Jaise sehro me British Ne hockey tournaments bhi organized Karwaye Jaise ki Britain cup aur Indians Kafi jaldi hi bade acche Khiladi Ban Gaye hockey me  Hame chote bade shehron se bade bade players milane Lage in fact even Army cantonment se DhyanChand aur unke Bhai Roop Singh jo donon Olympic Mein Khele the actually me inhone hockey khelni Shuru ki thi Jhansi cantonment me Iske bad jald hi Indian hockey Federation ki sthapna Hui aur kuchh Salon bad Indian hockey team Olympics Tak mein khelne gyi shuruaat mein Halaki sirf men's hockey team Thi yaha par


Lekin jo iske baad hua  bad vo history hai 1928 ke bad se Indian hockey team ne 6 gold medal Jeete aur lagatar 24 matches Ek ke bad ek jeete along with Dhyan Chand Ek Aur Hockey player Hai Jinka naam mein Hath per mention Karna Chahunga ye hai Jaipal Singh Ek Ranchi ke player 

 jinhone apni padhaai Oxford Mein complete Kari Thi inKi Kahani interesting isliye Hai Kyunki Indian hockey team ke captain banne ke bad ye Hamari constituent assembly Ke Bhi member bane the Yani vo log vo group of log jinhone hamara constitution likha tha Desh ka Aur sath hi sath inhone Reservation ke liye bhi  fight Kari thi tribal communities ke liye Sarkari Naukariyon me 


Balbir Singh Senior

Do winning goal score kiye the 1948 Olympics final match mein England ke against Ye wala Olympics India ke liye bahut special tha Kyunki ye pehla Olympics tha Jo India mein as independent India Khela tha kyoki 1947 me Desh Azad hua tha aur chance ki baat thi ki  ye final match Britain ke against hi tha aur India ne ye match jeet bhi Liya tha To symbolically Soch kar dekhiye  Kitni Badi chij Thi ye  1948 ki is  Olympic victory ke bad hockey Aur Bhi Jabardast tarike se popular ban Gaya  Desh me 

Desh Ki Janata ki jo sentiments hai aur National Pride hai vo Kafi attached Ho Gai India ki hockey team se 1970-80 ke around India ki jo women's hockey team thi unhone bhi achchi performance dikhhayi Jaise ki Ek Olympics mein jo Moscow Mein Hua tha tha 1980 Mein vo fourth position per Aaye The Is Samay ke around agar aap Kisi se puchte ki  India ka sabse pasandida sport Kaun sa hai? To ek school ka bachcha bhi aapko fatak se jawab de deta hockey


Lekin Aaj ke din agar aap  school ke bachcho Se jakar Poochho ki India mein sabse popular sport Kaunsa hai uska jawab aapko cricket Milega jo ki galat nahin hai Aaj ke din cricket sabse Jyada popular sabse famous spot Hai India mein Kya aisa Hua ki hockey ki popularity itni niche Gir Gayi aur cricket Itna popular sports ban Gaya 

4. The Fall Of Indian Hockey

1976 ek magazine Thi Jiska Naam Tha world hockey inhone ek detailed article published Kiya Jiska title tha The Fall of Rome Ab yaha par ye Rome ki baat nahin kar rahe the actually me ye roman Civilization ko Indian hockey se compare kar rahe the inhone  detailed me analyses Kiya tha ki kya Hua Jiski vajah se Indian hockey declined kar gyi bilkul Roman Civilization Ki Tarah Jo ek time per Badi Hi Shandar Jaani Mani Civilization Hua karti thi lekin eventually decline Karne Lagi 

Ab Indian hockey ka  declined actually mei already 1960 Se Hi Hona shuru ho Chuka tha baat ye thi ki is time ke  around Indian hockey players ne Apni game  khelne ka Tarika Badal Liya tha Isse Pehle jo Indian hockey kheli jati thi usko Duniya bhar Mein admire Kiya Jata tha ki players kitne skillfully Bol Ke Piche Bhag Rahe hai dribbling kar ke game khel rahe  hai  to chasing aur dribbling kar ke game Khela ja Raha hai lekin isi time ke around India ne apni tactics Badli Thi ab hockey players Thode Western tactics istemal karne Lag Gaye the  ye jo Naye type ki hockey ye Khel rahe the is mein Bol Ke Piche bhagne ki jagah ye players Ke Piche Bhag rahe the 

Chasing the Man instead of Chasing the ball ye  point of Criticism actually me ek German Hockey player ne Kiya tha use time ke around  Indian hockey team ko lekar lekin ye iklota reason nhi tha  iske baad ek aur bada change Hua 1975 main International hockey Federation ne Kaha ki jis field Per hum hockey khelte hai hum usko hi Badal denge isse Pehle hockey ghaas par kheli jati thi ( grass per) iske baad inhone Kaha Aaj ke baad hum hockey astroturf  khelenge  Joki basically artificial grass ho Aaj ke din jo aap bright blue color ki aur purple color ki fields TV per dekhte hai Hockey matches mein vo rubber Ki Bani hoti hai aur yah bahut bada change tha Indian hockey team ke liye Kyunki Indian hockey players ko Aadat thi Ghas per khelne ki grass fields per Indian hockey players actually Bol Ko trap kar sakte the glass ke blades ke beech Mein dribble kar sakte the aur Badi skillfully Pass-on kar sakte the 

Dusri Taraf astroturf Mein friction Kam tha  to Ball Ko sterically pass around Karne Se Jyada physical strength ki jarurat Thi Tej bhagane ke liye aur game khelne ke liye  aur ye ek advantage tha European players ke liye as compared to Indian player  shayad isse bhi Badi problem ye thi ki India mein astroturf the hi nahin To Hame pahle astroturf Banane Pade aur inhe banana Kafi mehnga  Padta tha  to hum itne sare astroturf bana bhi nhi paye to players, ko practice karne ke liye sufficient Jagah hi Nahin Mil Payi players practice Nahin Kar Paye to unki ki performance per Fark Pada Jiski vajah se Olympics mein India ki performance bekaar Rahi 

Jab ye  field change karne ka decision Liya Gaya to Indian hockey Federation Ne isko Bina Jyada rok tok ke accept kar Liya Kai log Federation ke andar ki politics ko Iske Piche responsible mante Hain Aaj ke din tak is step ko criticize Kiya Jata Hai ki Kyon nahin Indian hockey Federation ne jakar International hockey Federation Ke Samne Awaaz Uthai ki Ham Nahin Chahte yaha per field change Kiya Jaye ham grass fields hi khelna Chahte Hain agar aisa Kiya Hota To Shayad Aaj ke din tak hockey grass field par hi kheli jati ya FIR Shayad Nahin bhi 

Aaj ke din itne Samay bad batana Mushkil Hai Ki Kya Asar Hua hota agar a decision na Liya Gaya Hota To Dhanraj Ek retired Hockey player Hai Jo Desh Mein hockey ke decline Ke Piche Yahi Sare reasons batate Hain Ki Federation Mein Baithe Logon ki ego bahut jyada Thi Federation ke andar politics bahut hoti Thi change of turf Hua players ki style Mein badlav Aaya jo jis Tarah Se players Khel rahe the aur players aur Federation ke beech mein bahut friction tha inhi sab reasons ki vajah se Indian hockey team ki performance niche jaati Gai 1980s 90’s aur 2000 me

5. Rise Of Indian Cricket Team

Lekin doosri taraf isi Samay k around 1970s 1980’s me Cricket ki popularity India mein Badi Teji Se Badi 1971 vo saal hai jise ram Chandra Guha Kehate Hain India ka coming-of-age hua ye vo saal  hai Jab Indian team England Gai Thi tour karne ke liye ek test match ke liye 

Is point of time se pahle India ne ek bhi match Nahin Jita tha England ke against lekin 1971 Mein ye Badal Gaya fourth day of test match tha Jab India Ne ye test match Jeet Liya aur India ko International respect Milni Shuru Hui Cricket ke game me, more importantly, isi time around India mein Cricket ka fan base develop Hona shuru Hua ek reason iske peeche ye tha Bahut se international cricket tournaments India mein host ki Jaate the International teams India mein Aati Thi cricket khelne ke liye lekin isse jyada interesting reason ye  tha ki jo National fanbase tha Cricket ka vo ek Tarah se habit ke dwara develop hua jo  pados Ke Log sath mein baith kar sath mein Milkar radio per Cricket ki commentary sunte the

Ye ek aisi habit thi jo independence ke around Shuru Hui thi  Aaj to log TV per cricket Dekhte Hue uski commentary sunte Hain lekin use time par log sirf radio per commentary sunte the cricket Dekhte Nahin the lekin fir bhi uska ka Maja Kuchh alag hi tha Jo suspense tha sunane mein cricket ko aur logo sath baithkar sunane mein uska Maja alag tha aur 1971 ka match Yaad hai   jiske  bare mein Maine Abhi baat Kari thi  usko 8 crore logo ne desh bhar me Suna tha radio par beth kar 

Radio’s ke alawa Newspapers aur magazine ne bhi bade details tarike se cricket ko cover Karna Shuru Kiya weekly magazine chhapne Lagi jaisi ki sports week, Sports Star, Sports World Jaha par aap Cricket ke bare mein Sab Kuchh Jaan Sakte the aur jo cricketer the Hamare vo ek Tarah ke Celebrities ban gye in magazines aur newspapers ki wajah se hamare in famous cricketers ki Journeys  Janna bhi bhut interesting hai ki Kahan se nikal kar Aaye The aur Kaise ye itne popular ban gye inki Kahani se hum Kafi motivation aur inspiration Le Sakte Cricketer ki literally  fan following banne Lag Gai thi cricketers celebrities Ban Chuke the 

6. Can Hockey Revive Again?

Unfortunately, ye sari chij hockey Ko Nahin Mil payi jo media coverage cricketers ko di ja rahi thi vo hockey players ko nhi mili  aur Kyunki media coverage ki vajah se Logon Ka Dhyan bhi Usi Taraf Gaya to Paisa bhi FIR Usi Taraf flow Karne Laga 

Aur 1983 World Cup jeet ke bad Cricket ki popularity ko India mein badhane Se Koi Nahin rok sakta tha iske Kuch hi Salon baad India mein economic liberalization aayi foreign investors ab India mein a Sakte the market Khul Gaye the brand deals Aane Lagi Cricket ke liye bade bade advertisers ne Cricket tournament ke sath type Karna Shuru Kiya aur Paisa flow karne laga aur Dekhte hi Dekhte BCCI Duniya ki richest aur most powerful cricket body ban gai 

Simple Sa logical hai dost agar logo ko sirf cricket Dekhne Mein Hi interest hai to sare bade advertisers brands private companies bhi Cricket mein hi Paisa lagayenge aur Logon Ka Dhyan Kyon Hai cricket Dekhne Mein? Kyunki Indian cricket team one of the best teams apart from ki Indian cricket team ko sabse Jyada publicity bhi milati hai media coverage bhi milati 

To Kuch hadd tak Logon Ka Dhyan dusre sports Mein Bhi Ja sakta hai agar dusre sports mein India ke jitne ke chances badhenge ab Jaise hockey ko hi Le Kar Dekh Lijiye Abhi Olympics Mein Indian hockey team ki itni acchi performance rahi hai to Logon Dhyan bhi ab hockey me aa gya hai 

Logo ko agar Lagta hai ki India ka jitne ka achcha Chance hai to aur motivation milati Hai game ko dekhne ki cheer karne ki lekin iske alawa ek basic infrastructure ki bhi jarurat Hoti Hai Jo Desh Mein Hona chahie ki agar koi ye sport khelna Chahta Hai To actually Mein Khel Paye Jiske Liye Sarkar Ke support ki jarurat hai paise ki jarurat hai ki infrastructure buildup ho paye Stadiums ho training ke liye Jagah Ho khelne ke liye 

Additionaly Iske alava media coverage filmo mein coverage Se Ji Fark padta hai ki agar filmon mein ek port Ki Baat Kari Jayegi to log use dekhne ke liye aur motivate Honge khelne ke liye aur motivate Honge bacchon per iska Kuchh Na Kuchh influence Jarur padega 

7. Odisha Government Contribution

Lekin agar hum Sarkari support wale point per Wapas Aaye To Yahan per hockey ko promote karne ke liye Bada credit Jata Hai Odisha ke Chief Minister Naveen Patnaik  ko jinhone pahle to request Kiya tha Hamare Pradhanmantri ko ki hockey ko ek official national sport declared kar diya Jaaye to Odisha ke Chief Minister Ne Kaha Tha Prime Minister ko ki Odisha, Chhattisgarh aur Jharkhand state ke liye Hockey is a way of life 

2018 Mein Odisha Sarkar Ne croro rupaye spend ke Indian hockey team ke sponsor banne ke liye yahi reason hai ki Aaj ke din bhi aap Jersey dekhoge donon Man aur women's hockey team ki Vahan per Orissa likha Hota Hai 

Iske sath hi sath Odisha ke Chief Minister ne world-class facilities bhi develop karne ki koshish Kari hai apni state ke andar aur multiple tournament ko bhi host Kiya Hai, in fact, Odisha ke CM ne Abhi recently hi Foundation stone Ley Kiya tha India ke largest Hockey Stadium Ke Liye Joki Odisha Mein Banaya Jaega Jiska Naam Hoga Birsa Munda ye design Kiya ja Raha hai hockey world cup 2023 ke tournament ko host karne ke liye 

Ab exactly inhi cheezon ki jarurat hai doston Agar Hame hockey revive Karna Hai To Kuchh support Sarkar ki taraf se Kuch support Janata ki taraf se aur kuchh support media aur Bollywood ki taraf se bhi Agaram hum ek sport ko promote Karna chahte hain Apne Desh Mein ummeed  Karta hun Aane Wale time mein doston cricket ko chhodkar Hamare Desh Mein Jo Baki sports Hai unhen bhi Apna well-deserved recognition mil payega  

Umeed kata hu  aapko Article Pasand Aaya Hoga Agar Pasand Aaye to is Article  ko like Kijiye  Share kijiye comment me likh kar bataiye aapko kaisa laga ye informative Article 


LiveNews2050